Maa K Name.... Ye Kamyabiyan Izat Ye Naam Tum Se Hai Khuda Ne Jo Bhi Diya Makam Tum Se Hai, Tumhare Dum Se Hain Mery Lahu Mein Khilte Ghulab Mery Wajood Ka Sara Nizam Tum Se Hai, Kahan Basat Jahan Or Mein Kamsan_O_Nadaa Ye Meri Janat Ka Sab Ehtmam Tum Se Hai Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Main Hoon Jahan Jahan Hai Mera Ehtaram Tum Se Hai…
-----------------------------------------------------------------------
2Teacher Student Se: Ager Tum Mein Se Koi Mujhe Muthi Bhar Jannat ki Matti La kar De Ga, To Wo Tum Mein Sub Se Kamyab Student Hoga. Agley Din 1 Chota Bacha Mutti Bhar Matti Le Aya or Teacher Ko De Di Teacher Ne Naraz Ho Kar Kaha: Tum Mujh Se Mazaq Kar Rahy Ho Ye Matti Kahan Se Laye o? Student Ne Ansoo Bhari Ankhon K Sath Jawab Dia Ye Matti Main Apni Maa ki Qabar Se Utha Laya Hoon Ap Hi Ne Humein Sikhaya k Maa K Qadmon Taley Jannat Hai…
-----------------------------------------------------------------------
3MAayee Ni Main Kinon Akhan
Dard Wchory Da Haal Niii
MAayee Ni Main Kinon Akahn
Dukhan Di Roti
SOlan Da Saln
Aahein Da Baln Baal Niiii
MAayee Ni Main Kinon Akahn
-----------------------------------------------------------------------
4Maa ka chehra b Haseen hai Tasbeeh k Daano ki Tarah
Iqbal
Main pyar se daikhta gya or Ibadat hoti gyi.
-----------------------------------------------------------------------
5Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya
-----------------------------------------------------------------------
6Mere Wajood me wafa ki Roshni UTAAR de,
Phir itna pyar de k mujhe Chahton me MAAR de
Bohot udaas tha so uth k tere pas aa gaya
Kuch aisi Baat kar jo Mere DIL ko QARAAR de,
Suna hai teri ek NAZAR Sanwarti hai Zindagi,
Jo ho sake toh Aaj Tu meri Zindagi SANWAAR de.
-----------------------------------------------------------------------
7Always love your mother because
you will never get another
-----------------------------------------------------------------------
8Pyar ek maa ka kurbani hai
Jo hakikat mei daya ki rani hai
Pyar uska khatm nhi hota
Zindagi chahei khatm ho jay
Maa ki mamta kbhi nhi marti
Zindagi chaheip moot pajaye
Maa kbhi bhi khta nhi karty
Tum chahe kit ni khtay kardalo
Apne bachcho ko ak maa he jo
Zindagi bhar duway dety hai
Maa ki mamta mile jhan me jise
Wo bade khush nasib hote hai
Jin ki kismat me maa nahi hoti
Wo bade bad nasib hote hai
Sari khushya jhan ki mil kar
Phir bhi wo gam gin hote hai
Un se ulfar karo jahan walo
Wo hi to dar asl me yatim hote hai!!!
-----------------------------------------------------------------------
9Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya
-----------------------------------------------------------------------
10Maa ki mumta kaun bhulaye, Kaun bhula sakhta woh pyaar, Kis tarah bataun kaise ji rahae hum, Tu toh baitee pardesh mein, Gale tujhe kaise lagaun, Lekin bhej raha hae pyaar ish sms mein, Tera betta meri pyari maa…
-----------------------------------------------------------------------
11Manzil Dur Aur Safar Bohat hai Choti c Zindgi Ki Fikar Bohat hai Maar Dalti Ye Dunia Kb Ki hamain lekin 'MAA' Ki Duaon Main Asar bohat hai.
-----------------------------------------------------------------------
12Meri aankhon say..
maat poocho..
qarb kay samander ka…
bikharna hay kesa….
bachpan may jo sikhaya tha…
guriya ko sajana….
rait kaygharonday banana…
sabar ki char dewari may…
aansoo say piyar doundhna…
maa sub janti ho tum…
meri aankhon say maat poocho….
-----------------------------------------------------------------------
13Maa tum kahan ho tumhay dhoondta hon
gali koochon may bay sabab ghoomta hon
apnay aanso rida say teri ponchta hon
bus khawabon may teri mehak soonghta hon
or khayalon may may teray sung ghoomta hon
ab to jhoola bhi mujhay jhulati nahi ho
ab to lori bhi mujhay sunati nahi ho
goud may apni lay ka sulati nahi ho
jo mau rooth jaon to manati nahi ho
or jub bhi bulaon tum ati nahi ho
par yaadaain may tujh ko bulata hon may
or gum saray dil kay sunata hon may
sub hi ki shikayat lagata hon may
teray daman may aanso chupata hon may
is terhan dil ko jalata hon may
par man tu bohat bay wafa ho gai
apnay bachay say to kun juda ho gai
bata day may dhoondun kahan tujh ko Maa
bata day milay gi kahan mujh ko ma..
-----------------------------------------------------------------------
14Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi
God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi
Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi
Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi
Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley
Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai
Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray
Kitni sham’ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se
Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?
Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai
Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin
Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .
Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!
-----------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment