Pages

Tuesday, March 10, 2015

Wada sms




Mujh se Wada Karo Mujhe Rulao Gay Nahi

Halaat Jo Bhi Ho Mujhe Bhulaao Gay Nahi

Chupa Ke Apni Aankhon Mein Rakho Gay MujhKo

Duniya Mein Kisi Aur Ko Dikhao Gay Nahin

Mere Lafz Mere Dil Ki Tahrerein Hai

Qasam Uthao InKo Kabhi jalao Gay Nahi

Mujhe Yeh Yaqeen Dilao

Mujhe humesha Yaad Rakho Gay

Meri Yaadon Ko Apne Dil Sy Mitao Gay Nahi

-----------------------------------------------------------------------



Apne Asman Se Meri Zameen Dekh Lo

Tum Khwab Aaj Koi Hasin Dekh Lo

Aazmana Hai Agar Aitbar Ko Mere

To Ek Jhut Tum Bolo aur

Mera Yaqeen Dekh Lo

-----------------------------------------------------------------------



Dosti ka haq dil se ada karenge

Tujhe na kabhi dil se juda karenge

Ye wada he hamara tum se ae Dost!

Tum wafa karo hum wafa ki inteha karenge

-----------------------------------------------------------------------



BhooL Jaei

GeY TumhaiN YeH

TuM SeY wada

HaY.





.*.wasi.*.



BuS ZarA JISM Ka

R00H SeY RishtA

To TooT JanE Do

-----------------------------------------------------------------------




Tumharay Sehar say ab tu Reha hona nahi Mumkin
Bichar Jana tu Mumkin ha juda hona nahi Mumkin

Tumhe ko chahtay thay hm, tumhe ko chahtay hain hm
Meray Marz e Mohabat ki dawa honay nahi mumkin

Yeh acha ha k unko jaan tohfa tan he day aaien
Nazar ka teer ha pyaray Khata hona nahi mumkin

Shab e wada woh na aye, tu tum ko yaad rakhna tha
Hassan paimaan unka tha wafa hona nahi mumkin


-----------------------------------------------------------------------



Hath mein le k mera hath ye wada karlo,
Ab na choro gay mera sath ye wada karlo..

Tum na badlo gay badalte mosam ki tarah,
Beetnay wali hai barsaat ye wada karlo..

Log halaat badalte hi badal jate hain,
Tum badlo gay riwayat ye wada karlo..

Tum tou waday bhi bhula detay ho aksar "Wasi"
Ab na bhulo gay koi wada ye wada karlo.


-----------------------------------------------------------------------



Umer bhar kuch bhi tou apne liye hum ney na kia!
Aaj fursat jo mili hum ko tou socha, katre

Hum tou is khail ka hissa thay azal sey shayed
so tamasha jo na banty tou tamasha karte

Dil ko taskeen he mil jati zara si is sey
na nibhate chalo tum koi wada tou karte

Bhol janey ka irada bhi irada he raha
jaan par ban he tou jati jo hum aisa karte

Is amawas ney kiye qatal kai chand aarfeen
hum ujalay ki kahan is sey tamana karte?



-----------------------------------------------------------------------



Chalo tum sath mat dena,

Mujhe beshak bhula dena,

Naye sapne saja lena,

Naye rishtay bana lena,

Bhula dena sabhi waday,

Sabhi “qasmain”

Sabhi Natay,

Tumhain jana!

ijazat ha,

Jo diL chahe

Woh sab KaRNa,



Magar ab tum

kisi se bhi.



aadhora pyar mat

KaRNa.;


-----------------------------------------------------------------------



Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya

Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalana Aye Dost

Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin

Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya

Din Guzaara Tha Badi Mushkil Se

Phir Tera wada-e-Shab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Mein Nasir

Hum Bahot Roye Woh Jab Yaad Aaya..

-----------------------------------------------------------------------



Love story of 2 friends

do dost ik dosre se bahot pyar karte te.,,,,,Achanak ik margia,,,,kuch din bad asman se awaz aayi



ik wada ta tere hr wade k peechain

to mile ga hr gali hr darwaze k peechy



tuj se pyar bahot kia ta me ne



per ik to na tha mere janaze k peechy





foRN awaz ayi,?@?,



ik wada ta mere hr waday k peechy



mai melonga tojy hr gali hr darWAze k Peechy



tu ne hi palat k nahi dekha dost



ik janaza our bhi tha tere janaze k peechy



May ALLAH bless us such kind friendship


-----------------------------------------------------------------------




Mujh Se wada Kro Mujhe Rulao Gy Nhi

Halaat Jo B Hon Muje Bhulao Gy Nhi



Chupa K Apni Aankhon Me Rkho Gy Mujh Ko

Dunya Me Kisi Aur Ko Dikhao Gy Nhi



Mere Lfz Mere Dil Ki Tahrerein Hain

Qasam Uthao in Ko Kbi jalao Gy Nhi



Mje Ye Ykin Dilao Mje Yad Rkho Gy

Mri Yadon Ko Apni Dil Se Mitao Gy ni...!!!


-----------------------------------------------------------------------




No comments:

Post a Comment